Tuesday 3 June 2014




Hamare Arnav aur Khushi
 
Ghar ke chotey pardey par, bani ek prem kahani
Is kahani ki huyi saari duniya diwaani
In donon ki chavi, sab ke man mein basi
Aise thay hamare Arnav aur Khushi
 
Na takraar ki kami thi, na kam thay jazbaat
Chingaariyon se bhari thi, inki har mulaqaat
Kabhi nafrat ki thi chingaari, kabhi thi nashili
Aise thay hamare Arnav aur Khushi
 
Sapne huye poore, woh bani unki dulhan
Kayee mushkilon ke baad hua inka milan
Saazishein bahut huyi, inka pyaar chadha na bali
Aise thay hamare Arnav aur Khushi
 
Mahiney beet gaye, par inhe koyi na bhoola
Bas yehi baat, har ek ka dil bola
Na pehle thi aisi jodi, na phir hogi kabhi
Aise hain hamare Arnav aur Khushi
 
Translation:
 
On the small screen at home, there was a love story
The whole world became crazy for this story
Both of their reflections was in everyone's heart
This is how they were, our Arnav and Khushi
 
There was no dearth of conflict, nor of emotions
Their every meeting was full of sparks
The sparks were sometimes of hate and sometimes intoxicated
This is how they were, our Arnav and Khushi
 
The dreams were fulfilled, she became his bride
After many difficulties their unity took place
There were many conspiracies, but their love was not sacrificed
This is how they were, our Arnav and Khushi
 
It has been months, but no one forgot them
Only one thing, every heart said
There was never such a couple, nor will be there again
This is how they are, our Arnav and Khushi



No comments:

Post a Comment